Octane Booster | Learning24.in

Octane Booster
 
In Simple Words agar hum baat karein to Octane Booster ek Oil Type hota hai jo Racing Bike Mein log dalwaate hai Milage Sahi rahe bike ka isliye. 

Ye Kaise Kaam Karta Hai
Racing Bike Jaise Duke ki koi Bike ya aap Bullet Classic 350 lelo unme bhi ye full tank hone ke baad 35-40ml daala jaata hai. Jo badi racing bikes hoti hai unme jo fuel hota hai wo exact time pe burn ho iske liye octane booster ki zaroorat padti hai.

Travellers Mostly Used this Product
Kucch logo ko bike se ghoomne ka bht shaunk hota hai. to aise time pe wo khaana aur bike accessories ka samaan aur saath mein octane booster zaroor rakhte hai kyuki tank full karaane ke baad engine smoothly run karta hai agar aap ye 35-40ml daal lete ho petrol tank mein.

Other Use
Aisa bhi sun ne mein aaya hai ki mechanic engine ki bht saari kami bas iss ko petrol tank mein daalke he resolve kar lete hai.

Conclusion
agar aapke paas racing bike hai Duke ka supermodel ya Yamaha ka Higher Model ya koi bhi Superbike usme he bas iski zaroorat padti hai. baaki bike mein aap daalke dekh sakte ho par mere hisab se agar race karne ka shaunk hai aapko aur aapke friends ko to aap sab milke isse order kar sakte ho shaayad 1000/- tak mill jaayegi iski ek bottle. 

Agar mujhse kucch chhooot gaya ho to aap comment mein mujhse puuch sakte ho. Aapke comment ka main khud se reply karunga. Thank You!

๐Ÿ‘‰Go to Website Homepage๐Ÿ‘ˆ

Comments